kaash !! khushi aur gum ke ,
inke bhi hote bank account !!
aisa child plan hota ismey ,
purkho ki khushiya jisme ho jati count !!
insurance hota khushiyo ka bhi ,
gum ke liye hota ek changing plan !!
har khushi may badal lete gum ko bhi ,
phir har bhuddha lagta jawaan !!
jab kabhi jayada gum satane lagta ,
thodi khushiya le lete udhaar !!
kaash !! agar aisa hone lagta ,
phir khushiya hi sona lagta !!
kaash !!
dukhiyo ke dukh mit jaatey ,
khushiyon ke sab anchal lehraatey !!
sab ke chehre per hoti muskaan ,
kaash !! haste - haste marta har insaan !!
kaash !! haste - haste marta har insaan !!
